Image by Gerd Altmann from Pixabay

bohat log jaan naa chahte hai ki aakhair ye trading psychology hota kya hai aur kaise kaam karta aasan sabd me bata ne ki kosis karunga to is artical ko pura padna aap

aap agar is artical pad rahe is kaaa matlab hai ki aap trade karna sikh rahe kyun ki jab hum trade karte hai tab hum me psychology ki bohat hi jada jarurra  padti hai koi bhi tarder jab kisi aur ko trade karna sikha ta hai to bo apne experience ko share kar rah hota hai ki aakhir usne kaise sikha aur usne kaise apne psychology ko control kya ye har kisi ke bass ki baat nahi hai psychology ko control karna?

Image by Ajit Takaria Official 

Sabse pehle kya kare psychology ko control karne ke liye 

me koi doctor to nahi hu lekin itna jarur bata sakta hu ki aakhir aap trade karte samaye psychology ko control kaise kare sabse pehle jab aap trade karnge to aapko aapne money managment ko dhiyan rakna hai aap socho ge ki me aakhir psychology se money managment me kyun aa gaya dekhiye aapka psychology tab tak hi thik rehta hai jab tak ki aapka profit ho raha hota hai is liye aapko sab se pehle dekhna hai aapka money managment thik ho sab kuch aapka money yani paise se hi releated hota hai aapko pata hi hoga jab aap loss me kane lagte hai to aapka mood kharab hone lagta hai aur bahi se hi aapka psychology bigad ne lagta he is liye aapko dhiyan rakhna hai ki aapka money managment thik ho?

Image by Pxabay Edit Ajit Takaria Official
Groww Download

Money managment kaise kare?

aap jab subha trade karne ke liye mobile yan laptop leke beth te hai tabhi aapko decide karlena hai ki aapko aaj ke din kitna trade karna hai barna aapka din aur trade sab kharab hoga is liye aapko dhiyan rakhna hai ki subha subha taye karle na hai ki aaj kitna trade karna hai aur sath hi ye bhi dhiyan rakhna hai ki aap ek din kina paisa duba ne k ready hai kyun ki aap jab stock market me aate ho to aap kama ne nahi balki paise duba ne aate ho mera matab hai ki aap jab ek beginner hote ho to aapko kama ne se jada focus bacha ne par karna chahiye kyun ki paisa hi sab kuch hai share market me harshad bhai ke style me bolu to paisa bhagwan hai 

   Image by Parveender Lamba from Pixabay

loss ko profit me kaise laye?

me jab beginner tha na tabhi logo ko trade karte dekh mujhe lagta tha ki aakhir hai kya ye trade ek hi din mee sikha lunga lekin jab me trade karne ko baitha to pata chala ki trading aakhir kis chidiya kaa nam hai aur psychology ki naam ki bhi ek chidiya hoti hai to aapko ye tin chiz thik karna hai


  • aapko subha subha taye karna hai ki aapk ek din me kitna paisa gaba sakte ho aur kitna paisa gaba ne se aapko financial koi fark nahi padta ₹500 ₹1000 ₹2000 ₹5000 jitni bhi aapki capacity ho utna hi risk le

  • aap agar beginner hai to quantity kam rakhna hai taki aapka psychology bigad ne lage to bhi jada loss naa ho barna log depression me bhi chale jate hai

  • aur aapko support resistent thik se dekhna hoga uske baad hi aap buy yan sell karenge tabhi aap profitable banenge nahi to aap market me har jagna enter kar ke paisa kama ne lage to aapka stop loss bar bar har bar hit hote rahe gaa is liye is chiz kaa bhi dhiyan rakhe
aapko sikhna hai to aapka psychology isi tarha thik ho sakta hai ye jitan bhi mene apko apne artical me typing karke bataya hai sab sach me kyun me bhi ek trader hu aur mene jaise apni psychology thik kya baise hi aapko bata raha hu to ispe dhiyan dijiye aapka psychology thik ho jayega kam se kam tim 1 se 2 saal lag hi jata hai to part hi tarde kare nahi financial problem hi aa sakta hai  

Conclusion

Artical Term
aapko mene jo bhi bataya hai bo sirf  knowledge ke perpose se bataya hai me is me koi bhi share stock se releated buy yan sell karne ki anumati nahi deta thank you